Pyar Me Aksar Aisa Hi Hai
Pyar me aksar aisa hi hai
Jo kehte hai nahi bhulenge aapko
khud hi bhul jate hai…
Dusro ko pyar-wafa-dard samjate samjate
khud aapne pyar ko hi bhul jate hai…
Bewafa
Aaj hum unhe bewafa bata kar aaye hain,
unke khaton ko pani mein bahakar aaye hain,
koi nikal kar pad na le unhe,
is liye pani mein bhi aag laga kar aaye hain…
Woh Sitare Aksar Toot Ke Bikhar Jaya Kerte Hain
Jo kabhi teri nazar se guzar jaya kerte hain
woh sitare aksar toot ke bikhar jaya kerte hain
woh sitare aksar toot ke bikhar jaya kerte hain
Hum kisi se mahobbaton ka dawa to nahi kerte
haan magar wafaon pe hum mar jaya kerte hain
haan magar wafaon pe hum mar jaya kerte hain
Mausam ke hijir bhi.. ye guzare ga to kabhi
mausam ke isi aas main guzar jaya kerte hain
mausam ke isi aas main guzar jaya kerte hain
Mohabbaton ki ehmiat se waqif nahi hai woh
kuch log bas inhi se sawar jaya kerte hain
kuch log bas inhi se sawar jaya kerte hain
Bujhati to nahi barishoon se selaab hi sada
phir teri wafa se kyun hum dar jaya kerte hain
phir teri wafa se kyun hum dar jaya kerte hain
Kuch log apne dukhoon ki numaish nahi kerte
bas khamoshi se ander hi bikhar jaya keret hain
bas khamoshi se ander hi bikhar jaya keret hain
Woh aansoo jo palkoon ki zeenat nahi bante
woh chup chap se dil main utar jaya kerte hain…..
woh chup chap se dil main utar jaya kerte hain…..
Hum Apni Wafawon Ka Sila kis Say Mangtay
Hum apni wafawon ka sila kis say mangtay
Hum ba wafa thay lakin wafa kis say mangtay
Hum ba wafa thay lakin wafa kis say mangtay
Khud hee to kee thi hum nay apnay Rab say baghawat
Phir hum jo duwa mangtay to kis say mangtay
Phir hum jo duwa mangtay to kis say mangtay
Jo thay tabeeb Dil ke wo bhi dushman-e-jaan thay
Is Dil kee duwa mangtay to kis say mangtay
Is Dil kee duwa mangtay to kis say mangtay
Mahboob jo tha wo bhi to naraz tha hum say
koyi shokh ada mangtay to kis say mangtay
koyi shokh ada mangtay to kis say mangtay
Jo waqt guzar jaye tu wapis nahi aata
Wo waqt gaya mangtay tho kis say mangtay
Wo waqt gaya mangtay tho kis say mangtay
Hum us kee justajoo main howe khud say be-ganay
Hum ghar ka pata mangtay to kis say mangtay…!!
Hum ghar ka pata mangtay to kis say mangtay…!!
Tumko Chaha
Socha Tha Ki Hum Tumhe Toot Kar chahenge
Tumko Chaha Bhi Bahut Aur Hum Toote Bhi Bohut
Socha Tha Ki Hum Khushbu Bankar Rahenge
Hum Mehke Bhi Bahut Aur Bikhre Bhi Bahut
Socha Tha Ki Hamesha Tumhare Dil Me Rahenge
Dil Toota Aur Mere Armaan Nikle Bhi Bahut
Socha Tha Ki Tumse Pyar Karna Sikh lenge
Aur Humne Tumhara Naam Kagaz Pe Likha Bhi Bahut..
shayari on beautiful girl
Dil Ko Adat Si Ho Gai Hai Chot Khane Ki
Bhigi Palko Ke Sang Muskrane Ki
Kash Anjam Hum Pehle Se Jaan Jate
To Kosish Bhi Nahi Karte Dil Lagane Ki
0 comments:
Post a Comment